Mohseen Kee Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayan 05 Last Post
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MOHSEEN KEE ALAAMAAT AUR SIFAAT KA BAYAN 🥀* Part:05(LAST) 🔹Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki.... ❤️Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya.. 🌹Allah Ta’ala Jab Awwalin Wa Aakhireen Ke Logon Ko Jama Farmayega To Aik Pukarne Waala Arsh Ke Paayon Tale Aik Maidan Se Sada Dega : Kaha’n Hain Allah Ta’ala Kee Ma’refat Rakhne Waale? Kaha’n Hai Sahiban-E-Ehsan? Farmaya ....: 🔸Logon Me Se Aik Giroh Allah Ta’ala Ke Saamne Aa Khada Hoga... ♦️Phir Woh (Ya’ni Allah Ta’ala) Farmayega, Hala’n Ki Woh Behtar Jaan’ne Waala Hai : Tum Koun Ho ? Phir Woh Log Kahege : Hum Ahl-E-Ma’refat Hain, Jinhein Too Ne Apni Ma’refat Ata Kee Aur Hamein Is Ma’refat Ka Ahal Banaya, To 🌹Allah Ta’ala Farmayega : Toom Ne Sach Kaha, Phir Doosare Giroh Se Poochhega : Toom Koun Ho? Woh Arz Karege : Hum Sahiban-E-Ehsan Hain... 🌹Allah Ta’ala Farmayega : Tum Ne Sach Kaha, Mein Ne Apne Nabi Se Farmaya Tha : ‘Sahiba...